FaceBook Video Download
Facebook Se Video Kaise Download Kare Asan Tarika
Facebook video kaise download kare – Hello friends, aaj hum is post me Facebook se video download karne ka tarika janenge. Facebook bahut hi popular social networking site hai jis par daily lakho new videos upload kiye jate hai. Lekin Facebook me kisi video ko download karne ke liye koi option nahi hai. Hum Facebook video ko sirf Facebook par hi save kar sakte hai, hamare mobile ya computer me download nahi kar sakte.
Lekin Facebook se video download kiye jaa sakte hia, jiske liye simple si trick hai. Iske liye aapko kisi software ko download nahi karna padega.
Facebook se computer me video download kaise kare
Sabse pehle jante hai computer par Facebook se video download kaise karte hai.
- Sabse pehle apne Facebook account me login kare.
- Ab aapko jo video download karna hai uske samne down arrow par click karke save video button par click kare. Aapka video save ho jayega.
- Ab facebook ke main page par left hand side me Saved button par click kare.
- Saved button par click karne ke baad aapke dwara save kiye gaye sabhi video dikhai denge.
- Ab Facebook URL me “www” ko remove karke uski jagah par sirf “m” likh de.URL me “m” likhne se facebook ki mobile site open ho jayegi. Example – m.facebook.com
- Ab aapko jo video download karna hai use play kare.
- Video play hone par mouse ke right button par click kare aur “Save video as…” button par click karde.
- Ab aap video ka naam edit karke use apne computer me download kar sakte hai.
Iske bajay aap pehle Facebook url ko change kar le aur fir kisi bhi video ko play karke download kar sakte hai. Fir aapko video ko save karne ki jarurat nahi hai.
.
Ek baat ka dhyan rakhe ki jab tak aap video ko play nahi karenge jab tak save video ka option nahi aayega. Isliye video ko play karna jaruri hai. Is tarah aap kisi bhi facebook video ko Facebook ki URL change karke apne computer me download kar sakte hai.
Ek baat ka dhyan rakhe ki jab tak aap video ko play nahi karenge jab tak save video ka option nahi aayega. Isliye video ko play karna jaruri hai. Is tarah aap kisi bhi facebook video ko Facebook ki URL change karke apne computer me download kar sakte hai.
Agar aap video ko pehle save kar lenge to aapko use dhundne me aasani rahegi. Kyunki aapke dwara save kiye gaye sabhi video Saved folder me rahte hai.
Mobile me facebook video kaise download kare
Facebook video ko mobile me download karne ke liye aapko android app ki jarurat padegi. Iske liye sabse best app hai TubeMate. Aap tubemate android app ko download kar le aur apne android mobile me install kar le.
- Ab apne facebook app me video ke samne down arrow par click kare.
- Fir copy link par click kare. Jisse video ka URL copy ho jayega.
- Ab TubeMate app ko open kare.
- Aur address bar me copy link ko paste karke search button par click kare.
- Ab video open hone ke baad “Download” button par click kare.
- Video ki quality select kare aur aapko video download hone lagega.
TubeMate ke alawa facebook video download karne ke liye dusri kai tarah ki app hai jaise PlayFbV, USMD social media downloader, Facebook video down loader.
Post a Comment