Gum Huye Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye Google Par – Find My Phone

Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye Google Par – Find My Phone


Aaj me aapko ek aesi trick bata raha hu jiske baare me har ek Smart Phone rakhne wale Insaan ko pata hona chaiye, Kaise apne khoye hue Mobile ka pata lagaye Google me. Bhut baar hota hai ki hamara mobile kahi rha jata hai ya koi usko chura leta hai, uska pata kaise lagaye. Uska Pata lagana bhut Saral hai Bas Aap ko karna ye hai ki Computer par Google me Search Karo “Find My Phone”. Aap Google par apne Mobile ki location dekh sakte ho ki bo kaha hai or usme ring bhi baja sakte ho.

Mobile ki khojne ke liye in steps ko follow karo (Find My Phone)

mobile gum ho jaye to kya kare or kaise search kana hai Google par apne Phone ko. taki Phone ki location pata chal sake or Chor ka pata lagana aasan ho jaye.
#1 Sabse phele Google.com par jao fir usme type karo “Find My Phone” jesa aapko niche ki image me dikh raha hai. jiska matalb hota hai mera phone kaha hai.

#2. Automatically Google par ek Map aa jayega. Ab aapko Apne us Gmail account me login karna hai jo aapne mobile me dala hai.
#3. Jese hi Aap Sign in karoge Google aapke mobile ko search karne lageha
#4. Jese hi aapke Mobile ki location Google ko pata chalegi aapko Google Map par dikhne lagegi. Mobile ki jo location hogi uska ek area hoga 24 meter ka.
#5. Ab aap us jagha par jaa kar apne mobile ki ring baja sakte ho. Uske liye ring ki button par click karo.

#6. Ab aapke mobile me ringtone bajne lagegi Full volume me or bo 5 minute tak bajegi.
Achi baat ye hai ki agar aapka mobile silent bhi hai to bhi bo full volume me bajega.
FindMyPhone

Mobile ki location Pata karne ke liye ye function hona jaruri hai

  • Location ki jo service hai bo chalu hona chaiye aapke mobile me
  • Google App Install hona chaiye aapke mobile me or sabse latest version hona chaiye.
  • Mobile me Net chalu hona chaiye
  • Ye jo Mobile ko search karne ka function hai bo abhi Computer par hi karta hai. Aap kisi dusre mobile se nahi pata kar sakte apne mobile ki location ka.